Har Qadam Duri-e-manzil Hai Numayan Mujhse
har qadam duri-e-manzil hai numayan mujh se
meri raftar se bhage hai bayaban mujh se
dars-e-unwan-e-tamasha ba-taghaful KHush-tar
hai nigah rishta-e-shiraaza-e-mizhgan mujh se
wahshat-e-atish-e-dil se shab-e-tanhai mein
surat-e-dud raha saya gurezan mujh se
gham-e-ushshaq na ho sadgi-amoz-e-butan
kis qadar KHana-e-aina hai viran mujh se
asar-e-abla se jada-e-sahra-e-junun
surat-e-rishta-e-gauhar hai charaghan mujh se
be-KHudi bistar-e-tamhid-e-faraghat ho jo
pur hai sae ki tarah mera shabistan mujh se
shauq-e-didar mein gar tu mujhe gardan mare
ho nigah misl-e-gul-e-shama pareshan mujh se
bekasi-ha-e-shab-e-hijr ki wahshat hai hai
saya KHurshid-e-qayamat mein hai pinhan mujh se
gardish-e-saghar-e-sad-jalwa-e-rangin tujh se
aaina-dari-e-yak-dida-e-hairan mujh se
nigah-e-garm se ek aag Tapakti hai 'asad'
hai charaghan KHas-o-KHashak-e-gulistan mujh se
bastan-e-ahd-e-mohabbat hama na-dani tha
chashm-e-nakushuda raha uqda-e-paiman mujh se
aatish-afrozi-e-yak-shola-e-ima tujh se
chashmak-arai-e-sad-shahr charaghan mujh se
(1800) Peoples Rate This