Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai
tumhin kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai
na shoale mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shoKH-e-tund-KHu kya hai
ye rashk hai ki wo hota hai ham-suKHan tum se
wagarna KHauf-e-bad-amozi-e-adu kya hai
chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamare jaib ko ab hajat-e-rafu kya hai
jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho jo ab rakh justuju kya hai
ragon mein dauDte phirne ke hum nahin qail
jab aankh hi se na Tapka to phir lahu kya hai
wo chiz jis ke liye hum ko ho bahisht aziz
siwae baada-e-gulfam-e-mushk-bu kya hai
piyun sharab agar KHum bhi dekh lun do-chaar
ye shisha o qadah o kuza o subu kya hai
rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis umid pe kahiye ki aarzu kya hai
hua hai shah ka musahib phire hai itraata
wagarna shahr mein 'ghaalib' ki aabru kya hai
(2248) Peoples Rate This