Hairan Hun Dil Ko Roun Ki PiTun Jigar Ko Main
hairan hun dil ko roun ki piTun jigar ko main
maqdur ho to sath rakhun nauhagar ko main
chhoDa na rashk ne ki tere ghar ka nam lun
har ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko main
jaana paDa raqib ke dar par hazar bar
ai kash jaanta na tere rah-guzar ko main
hai kya jo kas ke bandhiye meri bala Dare
kya jaanta nahin hun tumhaari kamar ko main
lo wo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-nam hai
ye jaanta agar to luTata na ghar ko main
chalta hun thoDi dur har ek tez-rau ke sath
pahchanta nahin hun abhi rahbar ko main
KHwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
kya pujta hun us but-e-bedad-gar ko main
phir be-KHudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
jata wagarna ek din apni KHabar ko main
apne pe kar raha hun qayas ahl-e-dahr ka
samjha hun dil-pazir mata-e-hunar ko main
'ghaalib' KHuda kare ki sawar-e-samand-e-naz
dekhun ali bahadur-e-ali-guhar ko main
(2858) Peoples Rate This