Hai Sabza-zar Har Dar-o-diwar-e-gham-kada
hai sabza-zar har dar-o-diwar-e-gham-kada
jis ki bahaar ye ho phir us ki KHizan na puchh
na-chaar bekasi ki bhi hasrat uThaiye
dushwari-e-rah o sitam-e-ham-rahan na puchh
juz dil suragh-e-dard ba-dil-KHuftagan na puchh
aaina arz kar KHat-o-KHal-e-bayan na puchh
hindostan saya-e-gul pa-e-taKHt tha
jah-o-jalal-e-ahd-e-visal-e-butan na puchh
ghaflat-mata-e-kaffa-e-mizan-e-adl hun
ya rab hisab-e-saKHti-e-KHwab-e-giran na puchh
har dagh-e-taza yak-dil-e-dagh-intizar hai
arz-e-faza-e-sina-e-dard-imtihan na puchh
kahta tha kal wo mahram-e-raaz apne se ki aah
dard-e-judai-e-'asad'-ullah-KHan na puchh
parwaz-e-yak-tap-e-gham-e-tasKHir-e-nala hai
garmi-e-nabz-e-nabz-e-KHar-o-KHas-e-ashiyan na puchh
tu mashq-e-baz kar dil-e-parwana hai bahaar
betabi-e-tajalli-e-atish-ba-jaan na puchh
(1374) Peoples Rate This