Hai Kis Qadar Halak-e-fareb-e-wafa-e-gul
hai kis qadar halak-e-fareb-e-wafa-e-gul
bulbul ke karobar pe hain KHanda-ha-e-gul
aazadi-e-nasim mubarak ki har taraf
TuTe paDe hain halqa-e-dam-e-hawa-e-gul
jo tha so mauj-e-rang ke dhoke mein mar gaya
ai wae nala-e-lab-e-KHunin-nawa-e-gul
KHush-haal us harif-e-siyah-mast ka ki jo
rakhta ho misl-e-saya-e-gul sar-ba-pa-e-gul
ijad karti hai use tere liye bahaar
mera raqib hai nafas-e-itr-sa-e-gul
sharminda rakhte hain mujhe baad-e-bahaar se
mina-e-be-sharab o dil-e-be-hawa-e-gul
satwat se tere jalwa-e-husn-e-ghuyur ki
KHun hai meri nigah mein rang-e-ada-e-gul
tere hi jalwe ka hai ye dhoka ki aaj tak
be-iKHtiyar dauDe hai gul dar-qafa-e-gul
'ghaalib' mujhe hai us se ham-aghoshi aarzu
jis ka KHayal hai gul-e-jeb-e-qaba-e-gul
diwanagan ka chaara farogh-e-bahaar hai
hai shaKH-e-gul mein panja-e-KHuban bajae gul
mizhgan talak rasai-e-laKHt-e-jigar kahan
ai wae gar nigah na ho aashna-e-gul
(1403) Peoples Rate This