Hai Bazm-e-butan Mein SuKHan Aazurda-labon Se
hai bazm-e-butan mein suKHan aazurda-labon se
tang aae hain hum aise KHushamad-talabon se
hai daur-e-qadah wajh-e-pareshani-e-sahba
yak-bar laga do KHum-e-mai mere labon se
rindan-e-dar-e-mai-kada gustaKH hain zahid
zinhaar na hona taraf in be-adabon se
bedad-e-wafa dekh, ki jati rahi aaKHir
har-chand meri jaan ko tha rabt labon se
kya puchhe hai bar-KHud ghalati-ha-e-azizan
KHwari ko bhi ek aar hai aaali-nasabon se
go tum ko raza-jui-e-aghyar hai lekin
jati hai mulaqat kab aise sababon se
mat puchh 'asad' wada-e-kam-fursati-e-zist
do din bhi jo kaTe tu qayamat tabon se
(1281) Peoples Rate This