Hai Aarmidagi Mein Nikohish Baja Mujhe
hai aarmidagi mein nikohish baja mujhe
subh-e-watan hai KHanda-e-dandan-numa mujhe
DhunDe hai us mughanni-e-atish-nafas ko ji
jis ki sada ho jalwa-e-barq-e-fana mujhe
mastana tai karun hun rah-e-wadi-e-KHayal
ta baz-gasht se na rahe muddaa mujhe
karta hai bas-ki bagh mein tu be-hijabiyan
aane lagi hai nikhat-e-gul se haya mujhe
khulta kisi pe kyun mere dil ka moamla
sheron ke intiKHab ne ruswa kiya mujhe
wan rang-ha ba-parda-e-tadbir hain hunuz
yan shola-e-charagh hai barg-e-hina mujhe
parwaz-ha niyaz-e-tamasha-e-husn-e-dost
baal-e-kushada hai nigah-e-ashna mujhe
az-KHud-guzashtagi mein KHamoshi pe harf hai
mauj-e-ghubar-e-surma hui hai sada mujhe
ta chand past fitrati-e-tab-e-arzu
ya rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe
main ne junun se ki jo 'asad' iltimas-e-rang
KHun-e-jigar mein ek hi ghota diya mujhe
hai pech-tab rishta-e-sham-e-sahar-gahi
KHajlat gudazi-e-nafas-e-na-rasa mujhe
yan aab-o-dana mausam-e-gul mein haram hai
zunnar-e-wa-gusista hai mauj-e-saba mujhe
yakbar imtihan-e-hawas bhi zarur hai
ai josh-e-ishq baada-e-mard-azma mujhe
(1492) Peoples Rate This