Gulshan Mein Bandobast Ba-rang-e-digar Hai Aaj
gulshan mein bandobast ba-rang-e-digar hai aaj
qumri ka tauq halqa-e-bairun-e-dar hai aaj
aata hai ek para-e-dil har fughan ke sath
tar-e-nafas kamand-e-shikar-e-asar hai aaj
ai aafiyat kinara kar ai intizam chal
sailab-e-girya darpai-e-diwar-o-dar hai aaj
mazuli-e-tapish hui ifraat-e-intizar
chashm-e-kushada halqa-e-bairun-e-dar hai aaj
hairat-farosh-e-sad-nigarani hai iztirar
sar-rishta chaak-e-jeb ka tar-e-nazar hai aaj
hun dagh-e-nim-rangi-e-sham-e-visal-e-yar
nur-e-charagh-e-bazm se josh-e-sahar hai aaj
karti hai aajizi-e-safar soKHtan tamam
pairahan-e-KHasak mein ghubar-e-sharar hai aaj
ta-subh hai ba-manzil-e-maqsad rasidani
dud-e-charagh-e-KHana ghubar-e-safar hai aaj
dur-uftada-e-chaman-e-fikr hai 'asad'
murgh-e-KHayal bulbul-e-be-baal-o-par hai aaj
(1618) Peoples Rate This