Gila Hai Shauq Ko Dil Mein Bhi Tangi-e-ja Ka
gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-ja ka
guhar mein mahw hua iztirab dariya ka
ye jaanta hun ki tu aur pasuKH-e-maktub
magar sitam-zada hun zauq-e-KHama-farsa ka
hina-e-pa-e-KHizan hai bahaar agar hai yahi
dawam-e-kulfat-e-KHatir hai aish duniya ka
gham-e-firaq mein taklif-e-sair-e-bagh na do
mujhe dimagh nahin KHanda-ha-e-beja ka
hanuz mahrami-e-husn ko tarasta hun
kare hai har-bun-e-mu kaam chashm-e-bina ka
dil us ko pahle hi naz-o-ada se de baiThe
hamein dimagh kahan husn ke taqaza ka
na kah ki girya ba-miqdar-e-hasrat-e-dil hai
meri nigah mein hai jam-o-KHarch dariya ka
falak ko dekh ke karta hun us ko yaad 'asad'
jafa mein us ki hai andaz kar-farma ka
mera shumul har ek dil ke pech-o-tab mein hai
main muddaa hun tapish-nama-e-tamanna ka
(1504) Peoples Rate This