Ghuncha-e-na-shagufta Ko Dur Se Mat Dikha Ki Yun
ghuncha-e-na-shagufta ko dur se mat dikha ki yun
bose ko puchhta hun main munh se mujhe bata ki yun
pursish-e-tarz-e-dilbari kijiye kya ki bin kahe
us ke har ek ishaare se nikle hai ye ada ki yun
raat ke waqt mai piye sath raqib ko liye
aae wo yan KHuda kare par na kare KHuda ki yun
ghair se raat kya bani ye jo kaha to dekhiye
samne aan baiThna aur ye dekhna ki yun
bazm mein us ke ru-ba-ru kyun na KHamosh baiThiye
us ki to KHamushi mein bhi hai yahi muddaa ki yun
main ne kaha ki bazm-e-naz chahiye ghair se tihi
sun ke sitam-zarif ne mujh ko uTha diya ki yun
mujh se kaha jo yar ne jate hain hosh kis tarah
dekh ke meri be-KHudi chalne lagi hawa ki yun
kab mujhe ku-e-yar mein rahne ki waza yaad thi
aaina-dar ban gai hairat-e-naqsh-e-pa ki yun
gar tere dil mein ho KHayal wasl mein shauq ka zawal
mauj muhit-e-ab mein mare hai dast-o-pa ki yun
jo ye kahe ki reKHta kyunke ho rashk-e-farsi
gufta-e-'ghaalib' ek bar paDh ke use suna ki yun
(1128) Peoples Rate This