Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Baghair
ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair
jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe baghair
kahte hain jab rahi na mujhe taqat-e-suKHan
jaanun kisi ke dil ki main kyunkar kahe baghair
kaam us se aa paDa hai ki jis ka jahan mein
lewe na koi nam sitamgar kahe baghair
ji mein hi kuchh nahin hai hamare wagarna hum
sar jae ya rahe na rahen par kahe baghair
chhoDunga main na us but-e-kafir ka pujna
chhoDe na KHalq go mujhe kafar kahe baghair
maqsad hai naz-o-ghamza wale guftugu mein kaam
chalta nahin hai dashna-o-KHanjar kahe baghair
har chand ho mushahida-e-haq ki guftugu
banti nahin hai baada-o-saghar kahe baghair
bahra hun main to chahiye duna ho iltifat
sunta nahin hun baat mukarrar kahe baghair
'ghaalib' na kar huzur mein tu bar bar arz
zahir hai tera haal sab un par kahe baghair
(1347) Peoples Rate This