Gham-e-duniya Se Gar Pai Bhi Fursat Sar UThane Ki
gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uThane ki
falak ka dekhna taqrib tere yaad aane ki
khulega kis tarah mazmun mere maktub ka ya-rab
qasam khai hai us kafir ne kaghaz ke jalane ki
lipaTna parniyan mein shola-e-atish ka pinhan hai
wale mushkil hai hikmat dil mein soz-e-gham chhupane ki
unhen manzur apne zaKHmiyon ka dekh aana tha
uThe the sair-e-gul ko dekhna shoKHi bahane ki
hamari sadgi thi iltifat-e-naz par marna
tera aana na tha zalim magar tamhid jaane ki
lakad kub-e-hawadis ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat ki zamin thi buton ki naz uThane ki
kahun kya KHubi-e-auza-e-abna-e-zaman 'ghaalib'
badi ki us ne jis se hum ne ki thi bar-ha neki
(1352) Peoples Rate This