Gham Khane Mein Buda Dil-e-nakaam Bahut Hai
gham khane mein buda dil-e-nakaam bahut hai
ye ranj ki kam hai mai-e-gulfam bahut hai
kahte hue saqi se haya aati hai warna
hai yun ki mujhe durd-e-tah-e-jam bahut hai
ne tir kaman mein hai na sayyaad kamin mein
goshe mein qafas ke mujhe aaram bahut hai
kya zohd ko manun ki na ho garche riyai
padash-e-amal ki tama-e-KHam bahut hai
hain ahl-e-KHirad kis rawish-e-KHas pe nazan
pabastagi-e-rasm-o-rah-e-am bahut hai
zamzam hi pe chhoDo mujhe kya tauf-e-haram se
aaluda-ba-mai jama-e-ehram bahut hai
hai qahr gar ab bhi na bane baat ki un ko
inkar nahin aur mujhe ibram bahut hai
KHun ho ke jigar aankh se Tapka nahin ai marg
rahne de mujhe yan ki abhi kaam bahut hai
hoga koi aisa bhi ki 'ghaalib' ko na jaane
shaer to wo achchha hai pa badnam bahut hai
(1528) Peoples Rate This