Ghafil Ba-wahm-e-naz KHud-ara Hai Warna Yan
ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan
be-shana-e-saba nahin turra gayah ka
bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang
said-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka
rahmat agar qubul kare kya baid hai
sharmindagi se uzr na karna gunah ka
maqtal ko kis nashat se jata hun main ki hai
pur-gul KHayal-e-zaKHm se daman nigah ka
jaan dar-hawa-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'
parwana hai wakil tere dad-KHwah ka
uzlat-guzin-e-bazm hain wamandagan-e-did
mina-e-mai hai aabla pa-e-nigah ka
har gam aable se hai dil dar-tah-e-qadam
kya bim ahl-e-dard ko saKHti-e-rah ka
taus-e-dar-rikab hai har zarra aah ka
ya-rab nafas ghubar hai kis jalwa-gah ka
jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai
aaina hun shikastan-e-tarf-e-kulah ka
(993) Peoples Rate This