Garm-e-fariyaad Rakha Shakl-e-nihaali Ne Mujhe
garm-e-fariyaad rakha shakl-e-nihaali ne mujhe
tab aman hijr mein di bard-e-layali ne mujhe
nisyah-o-naqd-e-do-alam ki haqiqat malum
le liya mujh se meri himmat-e-ali ne mujhe
kasrat-arai-e-wahdat hai parastari-e-wahm
kar diya kafir in asnam-e-KHayali ne mujhe
hawas-e-gul ke tasawwur mein bhi khaTka na raha
ajab aaram diya be-par-o-baali ne mujhe
zindagi mein bhi raha zauq-e-fana ka mara
nashsha baKHsha ghazab us saghar-e-KHali ne mujhe
bas-ki thi fasl-e-KHizan-e-chamanistan-e-suKHan
rang-e-shohrat na diya taza-KHayali ne mujhe
jalwa-e-KHur se fana hoti hai shabnam 'ghaalib'
kho diya satwat-e-asma-e-jalali ne mujhe
(1003) Peoples Rate This