Gar Na Andoh-e-shab-e-furqat Bayan Ho Jaega
gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega
be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho jaega
zohra gar aisa hi sham-e-hijr mein hota hai aab
partaw-e-mahtab sail-e-KHanuman ho jaega
le to lun sote mein us ke panw ka bosa magar
aisi baaton se wo kafir bad-guman ho jaega
dil ko hum sarf-e-wafa samjhe the kya malum tha
yani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho jaega
sab ke dil mein hai jagah teri jo tu raazi hua
mujh pe goya ek zamana mehrban ho jaega
gar nigah-e-garm farmati rahi talim-e-zabt
shoala KHas mein jaise KHun rag mein nihan ho jaega
bagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par
har gul-e-tar ek chashm-e-KHun-fishan ho jaega
wae! gar mera tera insaf mahshar mein na ho
ab talak to ye tawaqqoa hai ki wan ho jaega
faeda kya soch aaKHir tu bhi dana hai 'asad'
dosti nadan ki hai ji ka ziyan ho jaega
(1239) Peoples Rate This