Gar KHamushi Se Faeda IKHfa-e-haal Hai
gar KHamushi se faeda iKHfa-e-haal hai
KHush hun ki meri baat samajhni muhaal hai
kis ko sunaun hasrat-e-izhaar ka gila
dil fard-e-jama-o-KHarch zaban-ha-e-lal hai
kis parde mein hai aaina-pardaz ai KHuda
rahmat ki uzr-KHwah-e-lab-e-be-sawal hai
hai hai KHuda-na-KHwasta wo aur dushmani
ai shauq-e-munfail ye tujhe kya KHayal hai
mushkin libas-e-kaba ali ke qadam se jaan
naf-e-zamin hai na ki naf-e-ghazal hai
wahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha
dariya zamin ko araq-e-infial hai
hasti ke mat fareb mein aa jaiyo 'asad'
aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai
pahlu-tahi na kar gham-o-andoh se 'asad'
dil waqf-e-dard kar ki faqiron ka mal hai
(1927) Peoples Rate This