Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d90885f66dcb31a8775fe72e59c67976, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai - Mirza Ghalib Poetry In English - Darsaal

Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai

fariyaad ki koi lai nahin hai

nala paband-e-nai nahin hai

kyun bote hain baghban tonbe

gar bagh gada-e-mai nahin hai

har-chand har ek shai mein tu hai

par tujh si koi shai nahin hai

han khaiyo mat fareb-e-hasti

har-chand kahen ki hai nahin hai

shadi se guzar ki gham na howe

urdi jo na ho to dai nahin hai

kyun radd-e-qadah kare hai zahid

mai hai ye magas ki qai nahin hai

hasti hai na kuchh adam hai 'ghaalib'

aaKHir tu kya hai ai nahin hai

(2207) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai in PDF.