Ek Ja Harf-e-wafa Likha Tha So Bhi MiT Gaya
ek ja harf-e-wafa likkha tha so bhi miT gaya
zahiran kaghaz tere KHat ka ghalat-bar-dar hai
ji jale zauq-e-fana ki na-tamami par na kyun
hum nahin jalte nafas har chand aatish-bar hai
aag se pani mein bujhte waqt uThti hai sada
har koi darmandagi mein nale se na-chaar hai
hai wahi bad-masti-e-har zarra ka KHud uzr-KHwah
jis ke jalwe se zamin ta aasman sarshaar hai
mujh se mat kah tu hamein kahta tha apni zindagi
zindagi se bhi mera ji in dinon be-zar hai
aankh ki taswir sar-name pe khinchi hai ki ta
tujh pe khul jawe ki is ko hasrat-e-didar hai
(1061) Peoples Rate This