Ek Ek Qatre Ka Mujhe Dena PaDa Hisab
ek ek qatre ka mujhe dena paDa hisab
KHun-e-jigar wadiat-e-mizhgan-e-yar tha
ab main hun aur matam-e-yak-shahr-arzu
toDa jo tu ne aaina timsal-dar tha
galiyon mein meri nash ko khinche phiro ki main
jaan-dada-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puchh haal
har zarra misl-e-jauhar-e-tegh aab-dar tha
kam jaante the hum bhi gham-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gham-e-rozgar tha
kis ka junun-e-did tamanna-shikar tha
aaina-KHana wadi-e-jauhar-ghubar tha
kis ka KHayal aaina-e-intizar tha
har barg-e-gul ke parde mein dil be-qarar tha
jun ghuncha-o-gul aafat-e-fal-e-nazar na puchh
paikan se tere jalwa-e-zaKHm aashkar tha
dekhi wafa-e-fursat-e-ranj-o-nashat-e-dahr
KHamyaza yak-daraazi-e-umr-e-KHumar tha
subh-e-qayamat ek dum-e-gurg thi 'asad'
jis dasht mein wo shoKH-e-do-alam shikar tha
(1335) Peoples Rate This