Dost Gham-KHwari Mein Meri Sai Farmawenge Kya
dost gham-KHwari mein meri sai farmawenge kya
zaKHm ke bharte talak naKHun na baDh jawenge kya
be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak
hum kahenge haal-e-dil aur aap farmawenge kya
hazrat-e-naseh gar aawen dida o dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do ki samajhawenge kya
aaj wan tegh o kafan bandhe hue jata hun main
uzr mere qatl karne mein wo ab lawenge kya
gar kiya naseh ne hum ko qaid achchha yun sahi
ye junun-e-ishq ke andaz chhuT jawenge kya
KHana-zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kyun
hain giraftar-e-wafa zindan se ghabarawenge kya
hai ab is mamure mein qaht-e-gham-e-ulfat 'asad'
hum ne ye mana ki dilli mein rahen khawenge kya
(3170) Peoples Rate This