Diya Hai Dil Agar Usko Bashar Hai Kya Kahiye
diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho nama-bar hai kya kahiye
ye zid ki aaj na aawe aur aae bin na rahe
qaza se shikwa hamein kis qadar hai kya kahiye
rahe hai yun gah-o-be-gah ki ku-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye
zahe karishma ki yun de rakkha hai hum ko fareb
ki bin kahe hain unhen sab KHabar hai kya kahiye
samajh ke karte hain bazar mein wo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kya kahiye
tumhein nahin hai sar-e-rishta-e-wafa ka KHayal
hamare hath mein kuchh hai magar hai kya kahiye
unhen sawal pe zom-e-junun hai kyun laDiye
hamein jawab se qat-e-nazar hai kya kahiye
hasad saza-e-kamal-e-suKHan hai kya kijiye
sitam baha-e-mata-e-hunar hai kya kahiye
kaha hai kis ne ki 'ghaalib' bura nahin lekin
siwae is ke ki aashufta-sar hai kya kahiye
(1806) Peoples Rate This