Diwangi Se Dosh Pe Zunnar Bhi Nahin
diwangi se dosh pe zunnar bhi nahin
yani hamare jaib mein ek tar bhi nahin
dil ko niyaz-e-hasrat-e-didar kar chuke
dekha to hum mein taqat-e-didar bhi nahin
milna tera agar nahin aasan to sahl hai
dushwar to yahi hai ki dushwar bhi nahin
be-ishq umr kaT nahin sakti hai aur yan
taqat ba-qadr-e-lazzat-e-azar bhi nahin
shoridgi ke hath se hai sar wabaal-e-dosh
sahra mein ai KHuda koi diwar bhi nahin
gunjaish-e-adawat-e-aghyar yak taraf
yan dil mein zoaf se hawas-e-yar bhi nahin
Dar nala-ha-e-zar se mere KHuda ko man
aaKHir nawa-e-murgh-e-giraftar bhi nahin
dil mein hai yar ki saf-e-mizhgan se ru-kashi
haalanki taqat-e-KHalish-e-KHar bhi nahin
is sadgi pe kaun na mar jae ai KHuda
laDte hain aur hath mein talwar bhi nahin
dekha 'asad' ko KHalwat-o-jalwat mein bar-ha
diwana gar nahin hai to hushyar bhi nahin
(1803) Peoples Rate This