Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gai
dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ek ada mein raza-mand kar gai
shaq ho gaya hai sina KHusha lazzat-e-faragh
taklif-e-parda-dari-e-zaKHm-e-jigar gai
wo baada-e-shabana ki sarmastiyan kahan
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwab-e-sahar gai
uDti phire hai KHak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa hawas-e-baal-o-par gai
dekho to dil-farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bul-hawas ne husn-parasti shiar ki
ab aabru-e-shewa-e-ahl-e-nazar gai
nazzare ne bhi kaam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere ruKH par bikhar gai
farda o di ka tafraqa yak bar miT gaya
kal tum gae ki hum pe qayamat guzar gai
mara zamane ne asadullah KHan tumhein
wo walwale kahan wo jawani kidhar gai
(1909) Peoples Rate This