Dil Mera Soz-e-nihan Se Be-muhaba Jal Gaya
dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya
aatish-e-KHamosh ki manind goya jal gaya
dil mein zauq-e-wasl o yaad-e-yar tak baqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ki jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hun warna ghafil bar-ha
meri aah-e-atishin se baal-e-unqa jal gaya
arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
kuchh KHayal aaya tha wahshat ka ki sahra jal gaya
dil nahin tujh ko dikhata warna daghon ki bahaar
is charaghan ka karun kya kar-farma jal gaya
main hun aur afsurdagi ki aarzu 'ghaalib' ki dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya
KHanman-e-ashiqan dukan-e-atish-baz hai
shola-ru jab ho gae garm-e-tamasha jal gaya
ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai KHayal
dil ba-soz-e-atish-e-dagh-e-tamanna jal gaya
hai 'asad' begana-e-afsurdagi ai bekasi
dil z-andaz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya
dud mera sumbulistan se kare hai ham-sari
bas-ki shauq-e-atish-e-gul se sarapa jal gaya
shama-ruyan ki sar-angusht-e-hinai dekh kar
ghuncha-e-gul par-fishan parwana-asa jal gaya
(1562) Peoples Rate This