Dhota Hun Jab Main Pine Ko Us Sim-tan Ke Panw
dhota hun jab main pine ko us sim-tan ke panw
rakhta hai zid se khinch ke bahar lagan ke panw
di sadgi se jaan paDun kohkan ke panw
haihat kyun na TuT gae pir-zan ke panw
bhage the hum bahut so usi ki saza hai ye
ho kar asir dabte hain rahzan ke panw
marham ki justuju mein phira hun jo dur dur
tan se siwa figar hain is KHasta-tan ke panw
allah-re zauq-e-dasht-nawardi ki baad-e-marg
hilte hain KHud-ba-KHud mere andar kafan ke panw
hai josh-e-gul bahaar mein yan tak ki har taraf
uDte hue ulajhte hain murgh-e-chaman ke panw
shab ko kisi ke KHwab mein aaya na ho kahin
dukhte hain aaj us but-e-nazuk-badan ke panw
'ghaalib' mere kalam mein kyunkar maza na ho
pita hun dhoke KHusraw-e-shirin-suKHan ke panw
(1338) Peoples Rate This