Dhamki Mein Mar Gaya Jo Na Bab-e-nabard Tha
dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha
ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha
tha zindagi mein marg ka khaTka laga hua
uDne se pesh-tar bhi mera rang zard tha
talif nusKHa-ha-e-wafa kar raha tha main
majmua-e-KHayal abhi fard fard tha
dil ta jigar ki sahil-e-dariya-e-KHun hai ab
is rahguzar mein jalwa-e-gul aage gard tha
jati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
dil bhi agar gaya to wahi dil ka dard tha
ahbab chaarasazi-e-wahshat na kar sake
zindan mein bhi KHayal bayaban-naward tha
ye lash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaan ki hai
haq maghfirat kare ajab aazad mard tha
(1420) Peoples Rate This