Dekhna Qismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aa Jae Hai
dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai
main use dekhun bhala kab mujh se dekha jae hai
hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
aabgina tundi-e-sahba se pighla jae hai
ghair ko ya rab wo kyunkar mana-e-gustaKHi kare
gar haya bhi us ko aati hai to sharma jae hai
shauq ko ye lat ki har dam nala khinche jaiye
dil ki wo haalat ki dam lene se ghabra jae hai
dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah
naghma ho jata hai wan gar nala mera jae hai
garche hai tarz-e-taghaful parda-dar-e-raaz-e-ishq
par hum aise khoe jate hain ki wo pa jae hai
us ki bazm-araiyan sun kar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-ghair baiTha jae hai
ho ke aashiq wo pari-ruKH aur nazuk ban gaya
rang khulta jae hai jitna ki uDta jae hai
naqsh ko us ke musawwir par bhi kya kya naz hain
khinchta hai jis qadar utna hi khinchta jae hai
saya mera mujh se misl-e-dud bhage hai 'asad'
pas mujh aatish-ba-jaan ke kis se Thahra jae hai
(1220) Peoples Rate This