Dekh Kar Dar-parda Garm-e-daman-afshani Mujhe
dekh kar dar-parda garm-e-daman-afshani mujhe
kar gai wabasta-e-tan meri uryani mujhe
ban gaya tegh-e-nigah-e-yar ka sang-e-fasan
marhaba main kya mubarak hai giran-jaani mujhe
kyun na ho be-iltifati us ki KHatir jama hai
jaanta hai mahw-e-pursish-ha-e-pinhani mujhe
mere gham-KHane ki qismat jab raqam hone lagi
likh diya min-jumla-e-asbab-e-virani mujhe
bad-guman hota hai wo kafir na hota kash ke
is qadar zauq-e-nawa-e-murgh-e-bustani mujhe
wae wan bhi shor-e-mahshar ne na dam lene diya
le gaya tha gor mein zauq-e-tan-asani mujhe
wada aane ka wafa kije ye kya andaz hai
tum ne kyun saunpi hai mere ghar ki darbani mujhe
han nashat-e-amad-e-fasl-e-bahaari wah wah
phir hua hai taza sauda-e-ghazal-KHwani mujhe
di mere bhai ko haq ne az-sar-e-nau zindagi
mirza yusuf hai 'ghaalib' yusuf-e-sani mujhe
(1453) Peoples Rate This