Dard Se Mere Hai Tujhko Be-qarari Hae Hae
dard se mere hai tujh ko be-qarari hae hae
kya hui zalim teri ghaflat-shiari hae hae
tere dil mein gar na tha aashob-e-gham ka hausla
tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae
kyun meri gham-KHwargi ka tujh ko aaya tha KHayal
dushmani apni thi meri dost-dari hae hae
umr bhar ka tu ne paiman-e-wafa bandha to kya
umr ko bhi to nahin hai paedari hae hae
zahr lagti hai mujhe aab-o-hawa-e-zindagi
yani tujh se thi ise na-sazgari hae hae
gul-fishani-ha-e-naz-e-jalwa ko kya ho gaya
KHak par hoti hai teri lala-kari hae hae
sharm-e-ruswai se ja chhupna naqab-e-KHak mein
KHatm hai ulfat ki tujh par parda-dari hae hae
KHak mein namus-e-paiman-e-mohabbat mil gai
uTh gai duniya se rah-o-rasm-e-yari hae hae
hath hi tegh-azma ka kaam se jata raha
dil pe ek lagne na paya zaKHm-e-kari hae hae
kis tarah kaTe koi shab-ha-e-tar-e-barshigal
hai nazar KHu-karda-e-aKHtar-shumari hae hae
gosh mahjur-e-payam o chashm-e-mahrum-e-jamal
ek dil tis par ye na-ummid-wari hae hae
ishq ne pakDa na tha 'ghaalib' abhi wahshat ka rang
rah gaya tha dil mein jo kuchh zauq-e-KHwari hae hae
(2296) Peoples Rate This