Dard Minnat-kash-e-dawa Na Hua
dard minnat-kash-e-dawa na hua
main na achchha hua bura na hua
jama karte ho kyun raqibon ko
ek tamasha hua gila na hua
hum kahan qismat aazmane jaen
tu hi jab KHanjar-azma na hua
kitne shirin hain tere lab ki raqib
galiyan kha ke be-maza na hua
hai KHabar garm un ke aane ki
aaj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namrud ki KHudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
jaan di di hui usi ki thi
haq to yun hai ki haq ada na hua
zaKHm gar dab gaya lahu na thama
kaam gar ruk gaya rawa na hua
rahzani hai ki dil-sitani hai
le ke dil dil-sitan rawana hua
kuchh to paDhiye ki log kahte hain
aaj 'ghaalib' ghazal-sara na hua
(1639) Peoples Rate This