Daim PaDa Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main
daim paDa hua tere dar par nahin hun main
KHak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil
insan hun piyala o saghar nahin hun main
ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun main
had chahiye saza mein uqubat ke waste
aaKHir gunahgar hun kafar nahin hun main
kis waste aziz nahin jaante mujhe
lal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main
rakhte ho tum qadam meri aankhon se kyun daregh
rutbe mein mahr-o-mah se kam-tar nahin hun main
karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye
kya aasman ke bhi barabar nahin hun main
'ghaalib' wazifa-KHwar ho do shah ko dua
wo din gae ki kahte the naukar nahin hun main
(1327) Peoples Rate This