Bisat-e-ijz Mein Tha Ek Dil Yak Qatra KHun Wo Bhi
bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi
so rahta hai ba-andaz-e-chakidan sar-nigun wo bhi
rahe us shoKH se aazurda hum chande takalluf se
takalluf bartaraf tha ek andaz-e-junun wo bhi
KHayal-e-marg kab taskin dil-e-azurda ko baKHshe
mere dam-e-tamanna mein hai ek said-e-zabun wo bhi
na karta kash nala mujh ko kya malum tha hamdam
ki hoga bais-e-afzaish-e-dard-e-darun wo bhi
na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naz farmao
mere dariya-e-be-tabi mein hai ek mauj-e-KHun wo bhi
mai-e-ishrat ki KHwahish saqi-e-gardun se kya kije
liye baiTha hai ek do chaar jam-e-wazh-gun wo bhi
mere dil mein hai 'ghaalib' shauq-e-wasl o shikwa-e-hijran
KHuda wo din kare jo us se main ye bhi kahun wo bhi
mujhe malum hai jo tu ne mere haq mein socha hai
kahin ho jae jald ai gardish-e-gardun-e-dun wo bhi
nazar rahat pe meri kar na wada shab ke aane ka
ki meri KHwab-bandi ke liye hoga fusun wo bhi
(1309) Peoples Rate This