Be-etidaliyon Se Subuk Sab Mein Hum Hue
be-e'tidaliyon se subuk sab mein hum hue
jitne ziyaada ho gae utne hi kam hue
pinhan tha dam saKHt qarib aashiyan ke
uDne na pae the ki giraftar hum hue
hasti hamari apni fana par dalil hai
yan tak miTe ki aap hum apni qasam hue
saKHti kashan-e-ishq ki puchhe hai kya KHabar
wo log rafta rafta sarapa alam hue
teri wafa se kya ho talafi ki dahr mein
tere siwa bhi hum pe bahut se sitam hue
likhte rahe junun ki hikayat-e-KHun-chakan
har-chand is mein hath hamare qalam hue
allah re teri tundi-e-KHu jis ke bim se
ajza-e-nala dil mein mere rizq-e-ham hue
ahl-e-hawas ki fath hai tark-e-nabard-e-ishq
jo panw uTh gae wahi un ke alam hue
nale adam mein chand hamare supurd the
jo wan na khinch sake so wo yan aa ke dam hue
chhoDi 'asad' na hum ne gadai mein dil-lagi
sail hue to aashiq-e-ahl-e-karam hue
(1310) Peoples Rate This