Bazm-e-shahanshah Mein Ashaar Ka Daftar Khula
bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula
rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula
shab hui phir anjuman-e-raKHshanda ka manzar khula
is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula
garche hun diwana par kyun dost ka khaun fareb
aastin mein dashna pinhan hath mein nashtar khula
go na samjhun us ki baaten go na paun us ka bhed
par ye kya kam hai ki mujh se wo pari-paikar khula
hai KHayal-e-husn mein husn-e-amal ka sa KHayal
KHuld ka ek dar hai meri gor ke andar khula
munh na khulne par hai wo aalam ki dekha hi nahin
zulf se baDh kar naqab us shoKH ke munh par khula
dar pe rahne ko kaha aur keh ke kaisa phir gaya
jitne arse mein mera lipTa hua bistar khula
kyun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzul
aaj udhar hi ko rahega dida-e-aKHtar khula
kya rahun ghurbat mein KHush jab ho hawadis ka ye haal
nama lata hai watan se nama-bar aksar khula
us ki ummat mein hun main mere rahen kyun kaam band
waste jis shah ke 'ghaalib' gumbad-e-be-dar khula
(2467) Peoples Rate This