Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage
bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
ek khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ek baat hai ejaz-e-masiha mere aage
juz nam nahin surat-e-alam mujhe manzur
juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage
hota hai nihan gard mein sahra mere hote
ghista hai jabin KHak pe dariya mere aage
mat puchh ki kya haal hai mera tere pichhe
tu dekh ki kya rang hai tera mere aage
sach kahte ho KHud-bin o KHud-ara hun na kyun hun
baiTha hai but-e-aina-sima mere aage
phir dekhiye andaz-e-gul-afshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere aage
nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyunkar kahun lo nam na un ka mere aage
iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere pichhe hai kalisa mere aage
aashiq hun pa mashuq-farebi hai mera kaam
majnun ko bura kahti hai laila mere aage
KHush hote hain par wasl mein yun mar nahin jate
aai shab-e-hijran ki tamanna mere aage
hai maujzan ek qulzum-e-KHun kash yahi ho
aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage
go hath ko jumbish nahin aankhon mein to dam hai
rahne do abhi saghar-o-mina mere aage
ham-pesha o ham-mashrab o hamraaz hai mera
'ghaalib' ko bura kyun kaho achchha mere aage
(1828) Peoples Rate This