Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona
bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona
aadmi ko bhi mayassar nahin insan hona
girya chahe hai KHarabi mere kashane ki
dar o diwar se Tapke hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq ki har dam mujh ko
aap jaana udhar aur aap hi hairan hona
jalwa az-bas-ki taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizhgan hona
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh
id-e-nazzara hai shamshir ka uryan hona
le gae KHak mein hum dagh-e-tamanna-e-nashat
tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistan hona
ishrat-e-para-e-dil zaKHm-e-tamanna khana
lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e-namak-dan hona
ki mere qatl ke baad us ne jafa se tauba
hae us zud-pashiman ka pasheman hona
haif us chaar girah kapDe ki qismat 'ghaalib'
jis ki qismat mein ho aashiq ka gareban hona
(2209) Peoples Rate This