Bala Se Hain Jo Ye Pesh-e-nazar Dar-o-diwar
bala se hain jo ye pesh-e-nazar dar-o-diwar
nigah-e-shauq ko hain baal-o-par dar-o-diwar
wufur-e-ashk ne kashane ka kiya ye rang
ki ho gae mere diwar-o-dar dar-o-diwar
nahin hai saya ki sun kar nawed-e-maqdam-e-yar
gae hain chand qadam pesh-tar dar-o-diwar
hui hai kis qadar arzani-e-mai-e-jalwa
ki mast hai tere kuche mein har dar-o-diwar
jo hai tujhe sar-e-sauda-e-intizar to aa
ki hain dukan-e-mata-e-nazar dar-o-diwar
hujum-e-girya ka saman kab kiya main ne
ki gir paDe na mere panw par dar-o-diwar
wo aa raha mere ham-sae mein to sae se
hue fida dar-o-diwar par dar-o-diwar
nazar mein khaTke hai bin tere ghar ki aabaadi
hamesha rote hain hum dekh kar dar-o-diwar
na puchh be-KHudi-e-aish-e-maqdam-e-sailab
ki nachte hain paDe sar-ba-sar dar-o-diwar
na kah kisi se ki 'ghaalib' nahin zamane mein
harif-e-raaz-e-mohabbat magar dar-o-diwar
(1216) Peoples Rate This