Aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab Hai
aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab hai
naqsh-e-pa jo kan mein rakhta hai ungli jada se
bazm-e-mai wahshat-kada hai kis ki chashm-e-mast ka
shishe mein nabz-e-pari pinhan hai mauj-e-baada se
dekhta hun wahshat-e-shauq-e-KHarosh-amada se
fal-e-ruswai sirishk-e-sar-ba-sahra-dada se
dam gar sabze mein pinhan kijiye taus ho
josh-e-nairang-e-bahaar arz-e-sahra-dada se
KHema-e-laila siyah o KHana-e-majnun KHarab
josh-e-virani hai ishq-e-dagh-e-bairun-dada se
bazm-e-hasti wo tamasha hai ki jis ko hum 'asad'
dekhte hain chashm-e-az-KHwab-e-adam-nakushada se
(1125) Peoples Rate This