Aamad-e-KHat Se Hua Hai Sard Jo Bazar-e-dost
aamad-e-KHat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-sham-e-kushta tha shayad KHat-e-ruKHsar-e-dost
ai dil-e-na-aqibat-andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
KHana-viran-sazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq mein bedad-e-rashk-e-ghair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun aaKHir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-ma raushan ki us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-KHun hamara saghar-e-sarshaar-e-dost
ghair yun karta hai meri pursish us ke hijr mein
be-takalluf dost ho jaise koi gham-KHwar-e-dost
taki main jaanun ki hai us ki rasai wan talak
mujh ko deta hai payam-e-wada-e-didar-e-dost
jab ki main karta hun apna shikwa-e-zof-e-dimagh
sar kare hai wo hadis-e-zulf-e-ambar-bar-e-dost
chupke chupke mujh ko rote dekh pata hai agar
hans ke karta hai bayan-e-shoKHi-e-guftar-e-dost
mehrbani-ha-e-dushman ki shikayat kijiye
ta bayan kije sipas-e-lazzat-e-azar-e-dost
ye ghazal apni mujhe ji se pasand aati hai aap
hai radif-e-sher mein 'ghaalib' zi-bas takrar-e-dost
chashm-e-band-e-KHalq juz timsal-e-KHud-bini nahin
aaina hai qalib-e-KHisht-e-dar-o-diwar-e-dost
barq-e-KHirman-zar gauhar hai nigah-e-tez yan
ashk ho jate hain KHushk az-garmi-e-raftar-e-dost
hai sawa neze pe us ke qamat-e-nau-KHez se
aaftab-e-subh-e-mahshar hai gul-e-dastar-e-dost
ai adu-e-maslahat chand ba-zabt afsurda rah
kardani hai jama tab-e-shoKHi-e-didar-e-dost
laghzishat-e-mastana o josh-e-tamasha hai 'asad'
aatish-e-mai se bahaar-e-garmi-e-bazar-e-dost
(1311) Peoples Rate This