Aaina Kyun Na Dun Ki Tamasha Kahen Jise
aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ki tujh sa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-KHayal mein
gul-dasta-e-nigah suwaida kahen jise
phunka hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai KHuda
afsun-e-intizar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-gharibi se Daliye
wo ek musht-e-KHak ki sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan guseKHta dariya kahen jise
darkar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko
subh-e-bahaar pumba-e-mina kahen jise
'ghaalib' bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise
ya rab hamein to KHwab mein bhi mat dikhaiyo
ye mahshar-e-KHayal ki duniya kahen jise
(2987) Peoples Rate This