Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gae
aaina dekh apna sa munh le ke rah gae
sahab ko dil na dene pe kitna ghurur tha
qasid ko apne hath se gardan na mariye
us ki KHata nahin hai ye mera qusur tha
zof-e-junun ko waqt-e-tapish dar bhi dur tha
ek ghar mein muKHtasar sa bayaban zarur tha
ai wae-ghaflat-e-nigah-e-shauq warna yan
har para sang laKHt-e-dil-e-koh-e-tur tha
dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke nam se
wo dil hai ye ki jis ka taKHallus subur tha
har rang mein jala 'asad'-e-fitna-intizar
parwana-e-tajalli-e-sham-e-zuhur tha
shayad ki mar gaya tere ruKHsar dekh kar
paimana raat mah ka labrez-e-nur tha
jannat hai teri tegh ke kushton ki muntazir
jauhar sawad-e-jalwa-e-mizhgan-e-hur tha
(1516) Peoples Rate This