Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hote Tak
aah ko chahiye ek umr asar hote tak
kaun jita hai teri zulf ke sar hote tak
dam-e-har-mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang
dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak
aashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun KHun-e-jigar hote tak
hum ne mana ki taghaful na karoge lekin
KHak ho jaenge hum tum ko KHabar hote tak
partaw-e-KHur se hai shabnam ko fana ki talim
main bhi hun ek inayat ki nazar hote tak
yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil
garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hote tak
gham-e-hasti ka 'asad' kis se ho juz marg ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hote tak
(1202) Peoples Rate This