Aabru Kya KHak Us Gul Ki Ki Gulshan Mein Nahin
aabru kya KHak us gul ki ki gulshan mein nahin
hai gareban nang-e-pairahan jo daman mein nahin
zof se ai girya kuchh baqi mere tan mein nahin
rang ho kar uD gaya jo KHun ki daman mein nahin
ho gae hain jama ajza-e-nigah-e-aftab
zarre us ke ghar ki diwaron ke rauzan mein nahin
kya kahun tariki-e-zindan-e-gham andher hai
pamba nur-e-subh se kam jis ke rauzan mein nahin
raunaq-e-hasti hai ishq-e-KHana viran saz se
anjuman be-shama hai gar barq KHirman mein nahin
zaKHm silwane se mujh par chaara-jui ka hai tan
ghair samjha hai ki lazzat zaKHm-e-sozan mein nahin
bas-ki hain hum ek bahaar-e-naz ke mare hue
jalwa-e-gul ke siwa gard apne madfan mein nahin
qatra qatra ek hayula hai nae nasur ka
KHun bhi zauq-e-dard se farigh mere tan mein nahin
le gai saqi ki naKHwat qulzum-ashami meri
mauj-e-mai ki aaj rag mina ki gardan mein nahin
ho fishaar-e-zof mein kya na-tawani ki numud
qad ke jhukne ki bhi gunjaish mere tan mein nahin
thi watan mein shan kya 'ghaalib' ki ho ghurbat mein qadr
be-takalluf hun wo musht-e-KHas ki gulKHan mein nahin
(1707) Peoples Rate This