Ye Dil Wo Hai Ki Ghamon Se Jise Faragh Nahin
ye dil wo hai ki ghamon se jise faragh nahin
misal lala se kya dun kuchh ek dagh nahin
gali mein teri hi dil bar se gir paDa dilbar
main DhunDun aur kahan ja kahin suragh nahin
hai dagh-e-ishq se raushan aur aah-e-sard se sard
hamare dil ka to KHas-KHana be-charagh nahin
paDa jahan tera naqsh-e-qadam mere gul-ru
wo gul-zamin hai kahan jo ki bagh-bagh nahin
ai mere ghuncha-dahan mere nargis-e-maKHmur
tere tamashe ka mushtaq kaun bagh nahin
hai kaun ghuncha surahi bana na tere huzur
hai kaun phul jo mai ka tere ayagh nahin
kahan ka sher kahan ki ghazal kahan ki bait
karun jo fikr bhi ab wo dil-o-dimagh nahin
na 'azfari' se karo nazm o nasr ka mazkur
na ji kuchh in dinon apna dimagh chagh nahin
(651) Peoples Rate This