Teri Tegh Abru Ki Tuk Samne Kar Dekhen To
teri tegh abru ki Tuk samne kar dekhen to
bachche KHurshid bhi rakh munh pe sipar dekhen to
mere KHurshid-laqa did ki Tuk ruKHsat de
tere didar ko phir ek nazar dekhen to
tegh tole hue kandhe pe jo aaya hai sawar
o sajile mere ghoDe se utar dekhen to
mar gaya jo use kahte hain hua aaj visal
ji racha zist se is hijr mein mar dekhen to
bah chuka KHana-e-dil aankh tak aa pahunchi sail
roe ja aur bhi ai dida-e-tar dekhen to
aa ke aankhon ka shabistan mera raushan kar de
wo din aata hai kab ai nur-e-basar dekhen to
hai masal ghussa utar jata hai panw pe gire
qadmon par us ke bhala sar ko bhi dhar dekhen to
din bahut bit gae galiyan hain suni tujh bin
jaani ban-Than zari aa jao idhar dekhen to
sab kahen guzri pa guzri na ku-e-dil-bar mein
rahe jaan 'azfari' is se bhi guzar dekhen to
(569) Peoples Rate This