Soz-e-sham-e-hijr Se Shab Jal Gae
soz-e-sham-e-hijr se shab jal gae
Dhalte Dhalte aansu hum KHud Dhal gae
kal ka wada kya raqibon se kiya
karte aaj aapas mein kuchh kal kal gae
wo uTha kar yak qadam aaya na gah
hum qadam san us ke sar ke bal gae
kab chhupi chhab taKHti aur wo chaal-Dhaal
go ki munh par kar ke tum ojhal gae
shart thi manunga jo mangoge tum
nam-e-bosa sunte hi kuchh Tal gae
sada-ru to dal ke ujle chor hain
hath le ye mal kurte Tal gae
ghuncha-e-dil 'azfari' taqrib-e-sair
gul-ruKHan pamal kar mal-dal gae
(610) Peoples Rate This