Sine Ka Ab Tak Hai ZaKHm Aala Miyan
sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan
hai ani mizhgan ki ya bhaala miyan
kis zamane ki ye dushman thi meri
is mohabbat ka ho munh kala miyan
ishq mein tere luTe sab durr-e-ashk
aisi war-KHarchi ne ghar ghaala miyan
jo bisat apni mein tha hosh-o-KHirad
jhoka jholi mein tere lala miyan
ishq ke zewar ko aansu mat kaho
motiyon ki hai ye gul-mala miyan
khol paT ghunghaT ka dikhlaya jamal
mere tale ka khula tala miyan
sarw-e-baala ko tere to dekh kar
ho gai duniya tah-o-baala miyan
neki meri aur badi apni ko jaan
sab badi ko apni to Dhaala miyan
Tala, baala 'azfari' ko de gae
kan ka apne dikha baala miyan
(593) Peoples Rate This