Shitabi Apne Diwane Ko Kar Band
shitabi apne diwane ko kar band
musalsal zulf se kar ya nazar-band
tera shaida na Thahra jaan sa ek dam
gaya le coat mein lohe ke kar band
jo tujh par aur ko tarjih de dekh
bas us andhe ki aankhen hain magar band
taDapta be-qarari aah-o-zari
huin ye haalaten kyunkar satar-band
hai shoala aag ka har aah ke sath
ye dil hai ya hai sine mein sharar band
piyare Dar KHuda se apni aankhen
hamari tarf se itni na kar band
tujhe KHurshid-ru, ji bhar ke dekhun
hui jati hai meri aankh par band
azizo misr-e-dil ki rah hai dur
rah-e-zulmat mein haiga ye dar band
jo chahe do jahan ka kaam lega
hai bandha jis ne himmat ka qamar-band
raho Tuk 'azfari' ab chashm khole
rahengi aankh phir sham-o-sahar band
(743) Peoples Rate This