Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc2c74d5645e401c0e9c82260fb0e46f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jabki Ghusse Ke Bich Aate Ho - Mirza Azfari Poetry In English - Darsaal

Jabki Ghusse Ke Bich Aate Ho

jabki ghusse ke bich aate ho

lakh lakh ek ki sunate ho

kaise har khae se bane piyare

baat karte hi kaT khate ho

uDti chiDiya ko hum parakhte hain

kase baaton mein tum uDate ho

kaho mujh se bhi chal sakoge kya

baiTho ji baaten kya banate ho

jas na tis par na dekh dah paDna

bhale matwale madh ke mate ho

jab main dekhun hun aankh bhar ke tumhein

badal aankhen mujhe dhiraate ho

kya tumhaari gadhi churai main

galiyan de jo munh churaate ho

jab na tab uTh ke 'azfari' ka gala

dab dhamkate aur Daraate ho

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabki Ghusse Ke Bich Aate Ho In English By Famous Poet Mirza Azfari. Jabki Ghusse Ke Bich Aate Ho is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Jabki Ghusse Ke Bich Aate Ho for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Jabki Ghusse Ke Bich Aate Ho in PDF.